Friday, December 31, 2010

"Khwahish"

"aaj phir mann mein ek khayal aya,


ruki thi kuchh waqt ke liye..


saffar mein hu abi, yaad aya,


bas ab udna chahti hun..


is rangeen aasma me khulkar,


in safed sapno se chhooth kar...


dum ghutta hai mera


hasne ko socha hai ab, jee bharkar...


par aaj phir mann mein ek khayal aya,


shayad ud na payungi abhi,


teri kahani ko sath lekar.
.........................................."